Puri school, college life mummy hi uthaya karti thi,
Breakfast mai jo chaho woh banaya krti thi,
Ab subah alarm se uthne ki koshish krta hun,
4 bar snooze dabake, meeting mai bina nahaye pahuncha krta hun.
Breakfast khaye hue arsa hogya h,
Lunch bhi 2-3 baje krta hun.
Meeting ke beech mai bhuk meetane ko chips khaya krta hun,
Tostitos se to blue wala lays hi acha tha,
Arey yaar kyun hi bada hua,
Bacha hi acha tha.
Bas test or homework ki tension hoti thi,
Ya friendship day pe bands pehnane ki,
Na early morning meeting ki dikkat thi,
Na perf rating badhane ki.
Cricket team ke captain hum the,
Puri koshish thi team ko jeetane ki.
Ab manager ko leadership dikhane ki koshish krta hun,
Impact ki mala japta hun.
Kuch bhi kaho,
Tab ka leader hi sacha tha.
Arey yaar kyun hi bada hua,
Bacha hi acha tha.
Teacher bhi tab ke sache the,
Burai muh pe krte the.
Dant-te the dil khol ke,
Par peeth piche tarif kiya krte the.
Ab corporate talk sab dete hain,
Kehte hai you are doing well,
Par section to improve mai
Lambe essay likh diya krte hain.
Ability se zada,
Lines of code ka har taraf charcha tha,
Arey yaar kyun hi bada hua,
Baccha hi achaa tha.
Drawing book se lekar,
Birthday cards tak,
Creativity har samay bahar ati thi.
Ab creativity ke liye,
Saal mai do hackathon hua krti hai.
Ise zada creative to tab tha,
Jab mai first year ka fuccha tha.
Arey yaar kyun hi bada hua,
Bachha hi acha tha.