Saturday, July 2, 2016

Aaj Teesra Din Hai




Ankhen khul gye meri,
Hogya mai fir zinda,
Is 4 dewaari mai,
Saamp ke jaisa rengta khayal aya,
Aaj teesra din hai,
Aaj teesra din hai...


Bistar pe mai hun leta,
Bhook bht tez lag rhi hai,
Samne ki khidki se,
Tez dhoop aa rhi hai,
Parden hain nhi khidki pe,
Nauk jaise chub rhi hai,
Kash mai uth pata ,
Par ab himmat nhi bachi hai,
Aaj teesra din hai,
aaj teesra din hai…


Ek patli si gali pr chal rha hun mai,
Dono taraf dukane hai,
Kuch kuch bech rhi hai,
Barik barik akshar mai keematen likh rakhi hain,
Par ab padh nhi sakta mai,
Dur ek kaune mai ek nal dhikayi deta hai,
Sochta hun mai,
Ek ghoont pani pi,
Khuch toh pet mai jaa pae,
Pani pi ke thoda acha lgta hai,
Par bhook se abhi kauna kauna dard krta hai,
Aaaj teesra din hai,
aaj teesra din hai…


Raat hogyi hai ab,
Usi gali mai leta hun,
Asmaan ki thali mai,
Chand roti sa lgta hai,
Ankhen band ho rhi hai ab,
Kya mai mar rha hun?
Maut hai ya behoshi,
jo bhi hai ganimat hai,
Aaj teesra din hai,
Aaj teesra din hai..

No comments:

Post a Comment